Apne blog website ke navigation menu bar me link ad kaise kare
Hello dear readers pichli post me hamne seekha ki Header Imeage ko set kaise karte hai. To ab aap Header Imeage ko set karne ke bare me to sikh chuke hoge to chaliye ab sikhte hai ki Navigation Menu bar ko Set kaise karte hai.Navigation Menu bar hamare Blog ke liye kyon jaruri hai.
Blog me navigation menu bar add karne se hamare blog ka design acha ho jata hai. visitor ko apne jarurat ke topic tak puchne me asani hoti hai. menu bar ke dawara new visitors ko ye pata chalta hai ki aap ke blog me kis- kis topic par post likhi hai.. navigation menu bar aap ke blog seo ke liye bhout jyada jaruri hai.navigation menu bar ke dawara google ko bhi aap ke blog ko read karne me assani hoti hai jiske karan aap ki post index hone me time nahi lagta. yani ki blog ke liye navigation menu bar bhout jyada jaruri hai.
menu bar kya hai?
Dosto menu bar hamare pure blog ka ek menu hai jiske dawara visitor ko asani se pata chal sakta hai ki aap ke blog me kis-kis topic par post hai. ye humare blog ke top me va blog ke header image ke niche hota hai. jo navigation menu bar hamare blog me header image ke upar hota hai use top navigation menu bar va jo header image ke niche hota hai use header navigation menu bar kahte hai. kuch blog template me niche footer me bhi ek navigation menu bar hota hai use footer navigation menu bar kahte hai. kuch template asi hoti hai jinme keval header navigation menu bar hi hota hai, va kuch template asi bhi hoti hai jinme menu bar hota hi nahi. agar aap full detail me sikhna chahate ho ki blog menu bar kitne type ke hote hai. apne menu bar ko chang kaise kare, apne menu bar ka color chang kaise kare. apne blog me menu bar kaise add kare to yhan post padho.
Navigation menu bar me kiya kiya topic add karte hai.
Dosto ab aap ye to jaan chuke hoge ki navigation menu bar kaya hai or kyon jaruri hai. to ab ham sikhte hai ki blog navigation menu bar me kiya kiya topic add karte hai.
Top navigation menu bar me kiya topic add kare ???
yahan menu bar header image ke upar hota hai. is menu bar me ham jyadatar jo topic daalte han vo ye hai
- Home
- About us
- Site map
- Contect
- privacy policy
Header navigation menu bar me kiya set kare
Header menu bar hamare blog ke header ke niche hota ha. header menu bar me ham apne blog ke labels(category) ke link Set karte han.apne blog ke liye labels (category) kaise banate hai sikhne ke liye niche diye gaye link par click karo.
Footer menu bar me kiya set kare ??
footer menu bar humare blog ke footer me hota hai. agar aap ke blog me top menu bar hai to aap iska use na kare. agar aap ke blog me top menu bar nahi hai to aap iska use kar sakte ho isme bhi jo top menu bar ke liye topic add karoge to acha rahe ga.
navigation menu bar me link set kaise kare??
Navigation menu bar me link set karne ke liye hame hamare blog ki html code ko edit karna padta hai. ab aap sochte hoge ki mujhe html code ke bare me kuch pata hi nahi to edit kaise karun. asa kuch nahi hai agar aap ko html coding ke bare me kuch pata nahi hai to bhi aap asani se apne blog menu bar ko edit kar sakte ho. navigation menu bar ko edit karne ke liye niche di gai step ko follow karo
Step1: Sabse phale apne blog me login karo or template (theme) par click karo
Step2: Ab edit html par click karo.
Step3: Ab ek html box open hoga jisme aap jis navigation menu ko edit karna hai us menu bar ke code ko search karo . menu bar ke html code ko search karne ke liye aap sabse phale CTRL+F press karo ab ek search box open hoga usme aap apne menu bar me likhe kisi bhi word ko type karo or enter daba do.
jaise meri website ke menu bar me mobile tips name se ek word hai ma use search karta hu.
blog template me navigation menu bar ki coding kuch is tarah se hoti hai

Make Money Online

Blogging

Facebook

SEO

Mobile Tips

Ab aap is coding me aap ko jo black color me name hai unko aap edit kar ke apne anusar likh sakte ho. or # sathan par aap ne jo text dala hai uska url daal sakte ho.
Ex.

computer tips
humne yaha par computer tips menu ke liye computer name ke label ka url dala hai.
ab jo bhi aap ke is menu par click karega aap ne jis post me bhi ye lable dala hai vo posts open ho jaye gi. is parkar aap apne blog ke liye page create karke bhi uska link apne navigation menu bar me set kar sakte ho.
Ab aap menu bar me link set karna to sikh chuke hoge. agar is post me aap ko koi problem ho to aap mujhe comment karke puch sakte ho.
EmoticonEmoticon