Blog website me template
chang kasie kare:---
|
Hello dosto c.i.t. help
in hindi me aap ka svaagat hai. friends aaj ham blog website me template (them)
upload karne ke bare me seekhe ge .dosto Blog Website banana ke baad me sabse
first step hoti hai Blog Website ko Design karna. Or Blog Design me sabse first
step hoti hai apne Blog me ek acha sa Template (Theme) upload karna.Blog ko
banane me ham bhout mhanat karte hai usme achi-achi post dalte ha ,uske baad
bhi hamare blog par visitor nahi aate.Kyonki ham usko sahi se design nahi
kar pate. Website Design SEO ke liye bhout jaruri hai. Website design ka
visitor par direct effect padata hai. agar hamne blog me achi achi post
likh rakhi hai or Design acha nahi hai to visitor ko aap ke Blog ko samajne me
thodi paresani hogi jisse aap ka traffic kabi bhi nahi badh sakta. Blog Template
ka effect humari Google Search par bhi padta hai. isi liye blog me SEO Friendly
va Mobile Friendly template ka use karna chahiye. To chaliye jante hai ki hame kis parkar ki template
ka use karna chahiye.
Blog ke liye template (them) kaisi honi chahiyen
Fast loading:-
Blog Website me hamesa Fast Loading vali Template ka use karna chahiye. Fast
loding vali Template use karne se hamare Blog Website ki open hone ki speed
badti hai. agar aap ki Template(theme) ki speed slow hai to aap ka blog
open hone me thoda time lega isi karan visitor aap ke Blog ko chod kar dusre Blog
par chale jate hai. jis karan aap ke blog ka traffic down ho jata hai. isi liye
simple Design vali Template ko use karna chahiye. Jayada colorful Design vali
Template ka use karne se aap ke Blog ki Loding speed kam ho jati hai.
SEO Friendly :-
Google Search Engine ka Website index karne ka tarika badalta rhata hai. jab
bhi hum internet se koi old Theme Download karte hai to search engine us Theme
ko ache tarike se read nahi kar pata or hame Blog ki rank down ho jati hai isi
liye hamesa SEO Friendly Template ka use karna chahiye. Aap Google par SEO
Ready Template Name se search kar sakte ho aap ko bhout sari Website mil jayegi
jo SEO Ready Theme provide karti hain.
Mobile Friendly:-
Aaj kal maximum log Mobile me Internet ka use karte hain. Isi liye Blog me asi
Template ka use karna chahiye ki vo Mobile me bhi ache tarike so open ho sake.
Agar aap ki Website mobile me ache tarike se open nahi hoti to aap ke Blog ka
traffic kabhi bhi nahi bad sakta. Isi liye only Mobile Friendly Template
ka use karna chahiye.
Template Download Kasie Kare:-
Sabse phale Google Search me type karo SEO
Friendly Template ab aap ke saamne bhout sari Website aa jayegi aap kisi me se
Template Download kar sakte ho, yahan par mai kuch beast Blog Template provid
karne vali Website ke link bata rha hun
4.colorlib
Template ko Upload kasie kare:-
Ab itna kuch batane ke baad aap
ne apne Blog ke liye Template Download to kar li hogi to chaliye ab jante hai
ki Template ko Upload kasie karte hai. Template ko Upload karne ke liye sabse
phale aap ne jo template file download ki hai vo file zip format me hoti hai
isi liye aap ko us file ko unzip karna pade ga. unzip karne ke liye file par
right click karo or extract file par click karo ab
aap ki file ke name se ek folder ban jayega. ab aap ne apni file ko unzip kar
liya hai to chaliye ab jante hai ki ise Blog me Upload kaise karte hai
Step1.
SAb sabse phale apne Blog dashboard me login karo.
Step2. Ab Theme ya Template par click karo.
Step3. Ab upar Backup/Restore par click karo.
Step4. Ab aap apne phale
vali theme ko download karna chahate ho to Download par click karo agar aap ko
apna phale vala Theme Download nahi karna to ise chod de.
Step5.
Ab choose file par
click kare.
Step6. Ab apni Template
vale folder ko open kare or vha par jis file ke age xml. Document likha hai use
select kare or enter press kar de.
Step7. Ab Upload par
click karo aapki file upload ho jayegi.
Friends mane is post me blog Theme
ke bare me ache tarike se batane ki kosis ki hai. agar aap ko ye post pasand
aaye to please like and share jarur kar dena .agar aap ko kuch samanjh nahi aa rha
or aap kuch puchna chahate ho to niche comment box me puch sakte ho. Mai aasha karta
hun ki Blog Template Download and Upload karne ke bare me aap ache tarike se samanjh
gaye hoge aage ane vali post ko padhne ke liye mere sath bane raho mai aap ki
puri help karne ki kosis karun ga.
4 comments
Warning!! SPAM has been detected!
Warning!! SPAM has been detected!
Warning!! SPAM has been detected!
EmoticonEmoticon